QUOTE(prince1191919 @ Feb 21 2006, 09:44 PM)

salaam,kaise hain aap sab??????????????????
guzray huey kal ki kuch baatein dimaagh mein aik tez lehr ki tarah uthti hain aur us jhaag ki tarah saahil per ja keh khatam ho jaati hain jo samandar mein na jaanay kitnay dinoun se uth rahi thee.
bohat se yaadein aisi hain jinko zindagi se waabasta rakhna acha lagta hai. shayed is liye keh aainda kabhi ghalati na ho; ya phir kuch is tarah se unko dohranay ka mann karta hai keh guzartay huey aaj mein uski jhalak mehaz us saye ki maanind nazar aye jo raat ko nadee ke behtay huey paani mein un darakhtoun ka ho jinkay pattay hawaa se mehaz aik sarsaraati hui awaaz paeda kartay hain aur phir waisay he saakit ho jaatay hain jaisay keh hawaa kabhi chalee hi na thee.
shab ke is pehar ko mein un chand lamhoun ko samaet kar apni aaj ki zindagi per ghaur karta hoon tou mehsoos hota hai keh wakayee ghalati insaan hi karta hai. be-shak ashraf-il-makhlookat hai lekin iska matlab yeh nahi keh ghalati karnay ki gunjayesh hi na ho. aisa na ho tou insaan tou insaan rehnay ke kaabil hi na rahay.
ye jo waqt hai na, insaan ko acha naach nachata hai. jahan khushi laata hai wahan dukh bhi deta hai. aur kyun na de, zindagi ka mazaa tou isi mein hai. kahin pyaar tou kahin nafrat, kahin zindagi tou kahin maut, kahin sanbhalna tou kahin girna. mere saath bhi waqt khelta raha; aur waqt ne tou jo khelna tha, woh bhi kheltee rahee aur mein itna anjaan keh kabhi khyaal bhi na aaya keh kahin kuch ghalat ho raha hai....
aaj hi ghorr kar lo kahin aap ke saath bhi hmmmmmmm ok tc
wahhhh very well said
keep it up
i really lykd yr way