SALAM TO ALL MY FRIEND,S AND ISP USER....HOW R U TO ALL???I HOPE EVERYONE IS FINE SHINE ....WELLCOME TO THE POINT:
main ne aap sab se wasay to kuch nahi chupaya hai aap itne ache ho ke aap sab par khud ba khud ak bharosa sa ban gaya or us bharose main aa kar main ne apni life ki wo batein aap sab se shere kar li joh main shayad kisi se shere nahi kar pata is baat ke liya main aap sab ko dil se THANKS kehta hon ....but ak baat main ne aap se chupaiiii wo ya ke mujhe CANCER ho gaya hai main ya batana to nahi chahta tha lakin kuch logon ne mujhe itna force kiya ke mujhe batana para ,,,jab pehle main ja raha tha to bhi waja ya hi the ,,,,lakin aap sab ka pyaar dekh kar mujhe ajeeb sa laga or main ruk gaya or apni ya baat apne dil main chupa li lakin kuch logo ne force kiya to mujhe ya baat aap sab ko batani pari or main ya batane ke bad yahan ruk nahi sakta hon kion ke jis ko bhi ya baat ka pata chala hai woh mujh se humdardi kar raha hai or mujhe kisi ki humdardi pasand nahi hai ...then i deceid i leave isp ....sorry for that ,...main chahta to chup chap bhi chala jata online hi nahi hota to kisi ko kuch pata bhi nahi chalta but mujhe aap sab ne itna kuch diya hai ke main is tarhan nahi kar sakta tha ,,,,socha tha jab and waqet aaiii ga tab bataoo ga ,..is ka elaj bhi hai but main karwana nahi chahta hon main janta tha ke aap sab mujhe elaj ke liya force karo ge ,,,mujhe kisi se koi gila sekhwa nahi hai aap sab bohat ache ho ....main jab tak zinda ho aap sab ko hamaisha yaad rakho ga but ab aane ka sawal hi paida nahi hota hai haan agar main apne CANCER ke bare main nahi batata to shayad kuch or din yahan rukta aap sab ke sath kuch or waqet guzarta ....but qismat ki baat hai jis ke naseeb main jis ka jitna sath likha hota hai us ko utna hi milta hai ....well is main kisi ka kuch qasoor to hai nahi is liya kisi ko kuch kehne ki zarorat hi nahi hai ,....aap sab kisi ko kuch nahi kehna ya ak last request hai ,,,,or aap sab se dono hathon ko jore ke ak or request karta hon kabhi kisi larki ka naam bilawaja kisi ke sath jora karo samne wale ka dil dukhta hai or kisi ka dil dukhne wala kabhi na kabhi us ka bhi dil dukhta hai ya ALLAH ka nizam hai so plz is baat ko bohat hi note karna .....or mujh se agar koi galti ho gaiii ho to plzzzzzzzzzzzzzzzzz mujhe maaf kar dayna ,,,,joh waqet aap sab ke sath guzra wo mere hai mere liya ak or yaadon ka zakhira hai ,,,,i hope aap main se koi upset nahi ho ga mere is post ko read kar ke aap sab khush raho ge ,,,,,or ak baat i know aap sab mujhe bhulna bhi chaho ge na to bhul nahi paooo ge .....
wahhhhhhhhhhhhhhh mr ashiq kya kamaal ki mohabat ki hai tum ne buhut khoob aik baat tuo batao beta kya tumhari mohabat jis ka tum ne shor macha hua hai meri mohabat meri mohabat woh mohabat aus mohabat se ziyada hai jo tumhare gahr walay tumahre dost sab tum se kartay hain chalo sab ko choro tumahre parent hain na parent b choro sirf apni maa ki mohabat ki baat karo kya tumhari maa ki tum se mohabat aus larki ki mohabat se kaam hai ?????????????? sirf mere ise sawaal ka jawab dai duo jitnee mohabat woh larki tumhe kartee hai kya tumahri maa nahi kartee jaise woh tumhara saath chahtee thee tumhari maa nahi chatee?????????
tum khud ko kya samjhtay ho ilaj na karake apnay parent apnay ghar walon ko rota chor ke dafa ho jao gay dunia se tuo tumhe tumhari mohabat mil jayegi kya milay gaa tumhe tumhari maa jise ne 9 month tumhe apnay pait mai rakha or itna dard bardasht kia khushi khushi lakin woh khushi yeh thee ke aus ki aulaad ko zindagi mil rahi hai woh maa kya bardash kr sakay gi jab ALLAH NA KARE tum ise dunia se ruksat hogay socho aus maa ka dil hi phat jayega jab woh yeh baat sunay gi ke ilaj ho sakta tha but tum ne jan booj ke nahi karaya kya kasoor hai tumhari family ka haan mohabat tumne khud ki chor kar b woh tumhari mohabat gayee tumhe or saza dai rahe ho apnay waldein apnay doston ko kis baat ki saza dai kar ja rahe ho aunay ke woh tumse buhut pyar kartay hain ise baat ki???????? tumhari maa tumhara baap tumahre bhain bhai jab tumhe har roz yaad kar ke royein gay tab KHUDA B tum per lanat bhaijgaaa ke tujhe aik larki ka saath nahi mila dunia mai tuo tum ne apnay waldein apnay sab doston ki ankhun mai zindagi bhar ke ansu dai diye kyu????????????
aus larki ki mohabat per bara naaz hai tumhe jis ne tumhe chor kar kisi or se shadi ki apnay parent ki khushi ke liye or tum aus se relation aus se promises nibhanay ke liye apni zindagi khatam kar rahe ho woh apnay parent ki khushi ke liye KISI GHIR MARD KE WIFE ban chuki hai maan lo ise haqeeqat ko mere bhai man lo or ausay tumhari koi parwa hotee tuo mar jatee lakin kabhi kisi ghir ki wife nahi bantee manta hun aus ki mohabat sachee hai lakin yeh b dekho aus ne apnay parent ki izzat or khushi ke liye qurban ki hai or tum kya kar rage ho agar woh apnay parent ke liye ji rahi hai tuo tum kyu nahi??????????
aik larki parent ka sahara nahi hotee aik larka sahara hota hai tum jawan ho tuo yakeenan tumhare parent buray ho chukay hun gay or tumhe aun ka sahara ban na hai na k aun ko ise age mai aise chor ke dafa hona apni zindagi ko kimaat ko samjho tum jo yeh samj rahe ho aise mar ke tum apni mohabat ka haq ada kar duo gay tuo tum bilkul galat ho tum kabhi mohabat ka haq ada nahi kr saktay jab tum apnay parent apnay gahr walon bhain bhai ki mohabat ka haq ada nahi kr saktay tuo aus ki mohabat ka haq kya ada karo gay ????????????????
tumhari maa jo tumhari aik chuuuuut par tarap authee hai jab ausay yeh haqqeqat pata chalay gi tab aun ki kya halat hogi kabhi socha hai mohabat mohabat mohabat lagayee huee hai apni maa ki mohabat b dekho woh tumhe kitna chatee hai kya tum apni maa ke liye aun ki mohabat ke liye nahi ji saktay nahi bhol saktay aus ko jaise woh tumhe bhol chuki hai batao ????????????????
sirf aik hi insan ki mohabat ke liye tum sab ki mohabat ko chor ke ja rahe ho yeh kahan ki insaniyat hai or tum tuo kahtay ho tumhari mohabat buhut paak hai buhtut azeem hai tuo kya azeem mohabat aisi hotee hai ke aap apni mohabat ko khonay ke baad hamesha ke liye moot ki nind so jao jan booj ke agar tumhari mohabat ne tumhe yeh sikhaya hai ke apni mohabat ke liye apnay maa baap ko rolao tuo sorry 2 say mai lanaat bhaijta hun tumahri mohabat per haan bhaijta hun tumhari mohabat khud garz hai khud garz dunia mai tumhi akelay wahid insan nahi jise yeh ghum mila ho mai b tumhari tarha hi hun balkay tum se ziyada dukh mujhe mila hai but phir b g raha hun kyu jantay ho kyu ke mere parent mujse se aus larki ki nisbaat hazar darjay ziyada mohabat kartay hain mere parent mujeh kabhi nahi chorain gay jaise aus ne mujeh chora hai
or jaise tumhari mohabat tumhe chor gayee hai akela tumahre parent b kabhi tumeh aise nahi chorain gay yaad rakhna hamesha tum jo kar rahe ho buhut galat hai or tumhari kabhi bakshish nahi honi yaad rakhna agar tum ne aisa kia tuo tum kabhi bakhay nahi jao gay or hakok all ibaad b kuch cheez hain or tum ne kya bakshay jana hai phir jb tumahri apni maa ne hi tumhay kabhi maaf nahi krna agar tum ne aisa kia ???????????????
or mere sirf aik sawaal ka jawab dai duo ky woh larki tumhari maa se ziyada pyar kartee hai tum bus sirf mere ise sawaal ka jawab dai duo agay mai tum se kuch nahi kahon gaa??????












