hmmmmmmmmmm
ae jazb_e_
dil ger main chahon her cheez muqabil a jaye ...............................nayeranoor ki ghazal bohat achi hay
dil tu chahta hay zindagi main woh sab kuch hasil ho jaye jo pasand hay lakin ye mumkin nahin...........
i think achi zindagi guzarnay kay liye
dil ki kam or dimagh ki baat ziyada manani chahiye

its difficult lakin impossible nahin
dil chahta hay meri fav movie hay
zindagi rocks movie main sushmita ne apnay betay kay liye
dil donate kiya ye kam sirf ek mother hi ker sakti hay

really nice
heart attack i think unlogon ko ziyada hota hay jo
dil ka istamal kam kertay hain isi liye male log ziyada heart attack se martay hain
bano qudsia ka ek novel hay PURWA us main hero ne
dil se kam le ker dimagh ko reject ker diya wah

bas kafi hay ya or
likhnay ko tu or bhi bohat kuch hay ............................
Khwahishain Na'tamaam
Mujhay roshni k jazeeron say ...
Is tarhaan mili ho tum ...
Jaisay taareek rahoon main ...
Koi diya ho maddham sa ...
Jis ki roshni main khud ko daikh to sakta hoon magar ...
Yeh roshni ka safar shayad mera hamsafar na ho ...
Shayad k tera milna kabhi bhi meri zindagi ka muqaddar na ho ...
So aaj inhi lamhoon main ...
Lota dain jitni chahatain hain ...
Mere
dil k nehaan khanoon main ...
Jitni un kahi baatain hain ...
Phir kal fursat milay na milay ...
Jis tarhaan saji hai aaj apni mehfil ...
Phir yeh bazam sajay na sajay ...
Kyon k main janta hoon ...
Kay meri natamaam khuahishoon main ab ...
Tumhain bhi shamil hona hai ...
Aaj paya hai tumhain muqaddar say ...
Kal isi tarhaan ...
Tumhain bhi khona hai ...