Slay a simple White Kurti in 5 different styles

Laapata OST song - HUM TV Drama



Written & Directed by
Khizer Idrees

Produced by
Momina Duraid

Singer
Kiran Waseem & Tehseen Chishty

Cast
Ayeza Khan
Sarah Khan
Gohar Rasheed
Ali Rehman Khan

Laapata rotates around the story of a lady, Falak (Sarah Khan) anticipating and enduring for her one genuine cherish and how her manipulative cousin Geeti (Ayeza Khan).

Geeti plays a portion in making challenges for her when the cherish of her life who moreover happens to be her cousin Shams (Ali Rehman Khan) goes lost.

People are loving the character of Ayeza Khan in drama Laapata as it's different from her previous roles.



Click here to download Audio Mp3 of drama Laapata OST by Kiran Waseem & Tehseen Chishty

Laapata OST Lyrics

Rangeen Fasaane Hain, Heele Bahaane Hain
Kabhi Tooti Aahein Hain, Kabhi Hai Raagini
Kabhi Aise Maddham Ho, Jaise Diye Ki Lo
Kabhi Khirkiyoon Se Chaanti Huye Roshni

Toote Howay Khaabon Ki Bikhri Kirchiyaan
Palkhon Pe Taare Ban Ke Jhil Milati Rahi
Sachay Iraade Bhi Ek Pal Na Kam Howay
Toofano Ki Lehrein Aati Jaati Rahi
Khaali Raahoon Pe Safar Hai Ravaan
Manzil Ka Nishaan Na Jaane Hai Kahan
Laapata Hoon Main, Tu Bhi Hai Laapata
Anjaani Dagar Se Hai Na Aashna

Qismat Ke Haathon Se Maine Churali Hai
Jee Ke Guzaari Hai Zara Si Zindagi
Sab Teri Yaadoon Ko Hum Tere Nishaano Ko
Haan Aise Chupaya Hai Jaise Thay He Nahi

Saathi Do Palon Ke Thay Hum Do Ajnabi
Sab Zanjeer Tor Di Dil Ki He Suni
Jeene Ka Hosla Barhta Hi Gaya
Soch Ki Parwaazein Roke Na Ruke

Khali Rahon Pe Safar Hai Rawaan
Manzil Ka Nishan Na Jane Hai Kahan
Laapata Hon Main, Tu Bhi Hai Laapata
Anjani Dagar Se Hai Na Aashna

Naino Ke Dohare Yaad Tehariya Sataaway
Kyun Mose Nahi Bole Roothe Se Yahan Maare
Kaahe Tu Akhiyan Se Neer Bahaaway
Kagava Aawe Pe Ka Sandesa Laaway

Neendein Laapata Hain Sapne Bhi Laapata
Aankhoon Se Hain Ojhal Sab Apne Laapata
Khud Ki Talaash Mein Bhi Ab Tak Hun Darbadar
Teri Meri Manzil Ke Raste Laapata